Singer: Uma Devi Khatri ,Tun tun,
Lyricists: Shakeel Badayuni,
Music Director: Naushad Ali,
Director:Abdul Rashid Kardar,
Cast: Shyam Kumar, Nusrat, Munawar Sultana,Husn Banu,Pratima Devi,Badri Prashad,Suraiya,
Dard is a 1947 Bollywood drama film directed by Abdul Rashid Kardar. It contains the song "Afsana Likh Rahi Hoon" by Tun Tun. It was a big musical hit which catapulted Naushad to great heights. Its song "Hum dard ka afasana duniya ko suna denge" is still very popular. Lyrics were written by Shakil Badayuni
Lyrics :-
afsaana likh rahi hoon
afsaana likh rahi hoon
dil-e-beqaraar kaa
aankhon mein rang bhar ke tere intazaar kaa
afasaanaa likh rahi hoon
jab tu nahin to kuchch bhi nahin hai bahaar mein
nahin hai bahaar mein
jab tu nahin to kuchch bhi nahin hai bahaar mein
nahin hai bahaar mein
jee chaahtaa hai munh bhi
jee chaahtaa hai munh bhi na dekhun bahaar kaa
aankhon mein rang bhar ke tere intazaar kaa
afsaanaa likh rahi hoon
haasil hain yoon to mujhko zamaane ki daulaten
zamaane ki daulaten
haasil hain yoon to mujhko zamaane ki daulaten
zamaane ki daulaten
lekin naseeb laayi
lekin naseeb laayi hoon ik sogwaar kaa
aankhon mein rang bhar ke tere intazaar kaa
afsaanaa likh rahi hoon
aajaa ki ab to aankh mein aansoo bhi aa gaye
aansoo bhi aa gaye
aajaa ki ab to aankh mein aansoo bhi aa gaye
aansoo bhi aa gaye
saagar chhalak uthaa
saagar chhalak uthaa mere sabr-o-qaraar kaa
aankhon mein rang bhar ke tere intazaar kaa
afsaanaa likh rahi hoon
afsaanaa likh rahi hoon
dil-e-beqaraar kaa
aankhon mein rang bhar ke tere intazaar ka..
No comments:
Post a Comment