Sunday, 27 April 2014

Navrang [1958] Songs | Sandhya, Mahipal | V. Shantaram | Old Hindi Songs...

Imaginary  Beauty will be  always much beautiful in the comparison of real  because it is all about  wish  and gist of  Individual dreamy desires, even any one can feel it same the body in the flash light and same if can see in general common place  .. it will be  much different , same person  which in is Imaginary and in real . 

The classic  movie  is  giving best example of encouter  to  human's  unlimited  unfulfilled diseres  and realities  of life . 


Navrang is a 1958 Hindi film first color movie of bollywood by Shantaram Rajaram Vankudre (V. Shantaram) from the year 1958. The film noted for its dance sequences with lead actress Sandhya and music by C. Ramchandra, while playback singer Mahendra Kapoor made his singing debut with the hit Aadha Hai Chandrama Raat Aadhi.


Track Details:

1. Are Ja Re Hat Natkhat (00:00)
2. Aadha hai Chandrama (07:36)
3. Tum Mere Main Teri (13:24)
4. Kavi Raja Kavita Ke Ab (16:47)
5. Tu Chhupi Hai Kahan (19:11)
6. Ye Mati Sabhi Ki Kahani (26:09)
7. Tum Saiyan Gulab Ke Phool (30:22)
8. Tum Pachhim Ho Hum Purab Hain (35:54)
9. Kari Kari Kari Andhiyari Thi Raat (41:45)
10. Rang De Re (49:50)
11. Shyamal Shyamal Baran (53:36)
12. Aa Dil Se Dil Mila Le (57:51)





------------------------------------------------------------------------------------------------







Lyrics :-

aa
tu chhupi hai kahaan main tadaptaa yahaan
tere bin pheekaa pheekaa hai dil kaa jahaan
chhupi hai kahaan main tadaptaa yahaan
tu gayi ud gayaa rang jaane kahaan
tere bin pheekaa pheekaa hai dil kaa jahaan
chhupi hai kahaan main tadaptaa yahaan

dil ki mahfil mein jab naa mujhe tum mile
saans leti hoon aa ke is sunsaan mein
in bahaaron mein jab naa tujhe paa saki
in bahaaron mein jab naa tujhe paa saki
to tadapti hoon aa ke is veeraan mein
tere bin pheekaa pheekaa hai dil kaa jahaan
chhupi hai kahaan main tadaptaa yahaan

ye nazren deewaani tu khoyi huyi
tere rangeen sapnon ke rangon mein
umangon mein jab naa tujhe paa saki
umangon mein jab naa tujhe paa saki
dhoondhti hoon main gham ki tarangon mein
tere bin pheekaa pheekaa hai dil kaa jahaan
chhupi hai kahaan main tadaptaa yahaan
tu chhupi hai kahaan
chhupi hai kahaan
chhupi hai kahaan

main chhupi hoon piyaa teri palakan mein
teri dhadkan mein, teri har saans mein,
teri har aas mein
main chhupi hoon kahaan meraa ye raaz sun
dard ke haathon gham se bharaa saaz sun
mere rote huye dil ki aawaaz sun

jab talak teraa meraa na hogaa milan
main zameen aasmaan ko hilaati rahoongi
aakhri aas tak aakhri saans tak
khud tadpoongi aur tadpaati rahoongi

ye kaun ghunghroo jhamkaa
ye kaun chaand chamkaa
ye dharti pe aasmaan aa gayaa poonam kaa
ye kaun phool mahkaa
ye kaun panchhi chahkaa
mahfil mein kaisi khushboo udi dil jo meraa bahkaa
lo tan mein jaan aayi, honthon pe taan aayi
meri chakori chaandni mein kar ke snaan aayi
bichhdaa wo meet aayaa, jeewan kaa geet aayaa
do aatmaaon ke milan kaa din puneet aayaa
soorat hai mere sapnon ki tu sohini
jamunaa tu hi hai tu hi meri mohini
tere bin pheekaa pheekaa hai dil kaa jahaan
chhupi hai kahaan main tadaptaa yahaan

tu chhupi hai kahaan
chhupi hai kahaan
chhupi hai kahaan..
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------








LYRICS ;-
aadhaa hai chandrmaa raat aadhi
aadhaa hai chandrmaa raat aadhi
rah na jaaye teri meri baat aadhi, mulaaqaat aadhi
aadhaa hai chandrmaa raat aadhi
rah na jaaye teri meri baat aadhi, mulaaqaat aadhi
aadhaa hai chandrmaa

piyaa aadhi hai pyaar ki bhaashhaa
aadhi rahne do man ki abhilaashhaa
piyaa aadhi hai pyaar ki bhaashhaa
aadhi rahne do man ki abhilaashhaa
aadhe chhalke nayan aadhe dhalke nayan
aadhi palkon ki bhi hai barsaat aadhi
rah na jaaye teri meri baat aadhi, mulaaqaat aadhi
aadhaa hai chandrmaa

aas kab tak rahegi adhoori
pyaas hogi nahin kyaa ye poori
aas kab tak rahegi adhoori
pyaas hogi nahin kyaa ye poori
pyaasaa-pyaasaa pawan pyaasaa-pyaasaa chaman
pyaase taaron ki bhi hai baaraat aadhi
aadhaa hai chandrmaa raat aadhi
rah na jaaye teri meri baat aadhi, mulaaqaat aadhi
aadhaa hai chandrmaa

sur aadhaa hai shyaam ne saadhaa
rahaa raadhaa kaa pyaar bhi aadhaa
sur aadhaa hai shyaam ne saadhaa
rahaa raadhaa kaa pyaar bhi aadhaa
nain aadhe khile honth aadhe hile
rahi pal mein milan ki wo baat aadhi
aadhaa hai chandrmaa raat aadhi
rah na jaaye teri meri baat aadhi, mulaaqaat aadhi
aadhaa hai chandrmaa...

No comments:

Post a Comment